Tuesday 21 July 2015

website or blog kaise banaye hindi me, how to make a website or blog? hindi me,ब्लॉग या वेबसाइट कैसे बनाये?


Bahut se log website(blog)  banana chahte hai lekin wo bana nahi pate jabki blog banana bahut hi aasan hai. 
Internet par aise kai free  blogging platform hai jinki help se aap blogging kar sakte hai bas aapko
thode se guidance Ki jarurat hai uske baad aap hamare dwara di gayi jankari se blogging me master ho jayenge Blogger and word press ,yahoo aur bhi bahut si blogging sites hai aapko blogger ya fir WordPress ka suggestion dunga kyuki
ye sabse best service deti hai. Aaj mai aapko blogger k bare m bataunga blogger google ki blogging service hai aur ye bahut hi aasan hai.

To chaliye ab aap meri ek-ek steps ko follow kariye aapki blogger par website ban jayegi ;

1.pehle apko blogger par site banae k liye bas ek e-mail account wo bhi gmail par kyuki blogger bas gmail account hi accept karta hai agar gmail par account nahi hai to www.gmail.com par jake banaye aur ek computer ki jarurat hai jis par internet ho.


2. Ab aap www.blogger.com par jaye aur apne Gmail account se sign in kar le.

3.ab aap New blog par click kare .

4.next step me aapko apni blog ki title batani hai jo ki main page par display hogi bas aapki title aapke blog se related honi chahiye, ya fir aap apna name use kar sakte hai jaise "swagatraj.com"

5.ab apko apna URL dalna hai jo ki aapke title se match kare aur us naam se aur koi blogger id na ho aap save karke check kar  sakte hai ki URL available hai ki nahi fir jo available URL aata hai use save kare.

6.ab aapko niche se ek template choose karna hai suru me aap koi bhi template choose kar le kyuki iski design aap jab chahe change kar sakte hai aage ham aapko batayege ki template ki design kaise change  kare ya fir aap kisi site se kharid bhi sakte hai.

7.Create blog button par click kare aur save kar le ye lijiye aapki blogging website bankar tyaar ho gayi hai.

8.ab aapka asli kam suru hota hai new post ki button par click karne par ek page khulega usme upar apne post ka title daale aur fir niche apna post likh kar publish ki button par click kare. Ab aapka pehla blog post ho gaya hai.

9.agar aap blogging me success pana chahte hai to jada se jada interesting blogs like aur unhe facebook, twitter, Google+ aur anya social sites par share kare.

10.naya page banane k liye Create page par clik kare .

Aur haan agar aap blogger se paise kamana chahte ho to meri aage ki post jarur padhe aur haan blogger me aap Hindi me post karke bhi apni service de sakte hai.

To dosto kaisi lagi meri jankari comment me jarur bataye aur Kisi bhi help k liye mujse comment box me sampark kare mujhe aapki madad karke Khushi hogi

 Kuch Aur Jankari.......

No comments:

Post a Comment