Wednesday 2 March 2016

ebook kya hai, ebook banate kaise hai, ebook kaise aur kaha beche



hello friends aaj main aapko ebook se paise kamane k bare me batane jar aha hun ,
ye post thodi lambi hai lekin isse padhkar aap ek ese trike ke bare me jankari lenge jo bahut hi rochak aur faydemand hai…



To chaliye jankari suru karte hai , hame ebook banana aur bechne se pehle ye janna bahut jaruri hai ki ebook hoti kya hai , isse banate kaise hai , isse kaha par aur kaise bechte hai…


Aaiye sabse pehle jante hai hai ebook hota kya hai….?


{E+book= online +book } ebook ek prakar se sadharan book ki tarah hoti hai , jo ki authors dawara online likhi jati hai aur padhne wale log isse online kharid kar ya phir rent par le kar padhte hai jisse ki ebook banana wale ko income hoti hai…


Ebook banate kaise hai…..?


Waise to ebook banana ke bahut se tarike hai lekin mai aapko aisa tarika batane jar aha hun jo bahut hi simple aur asan bhi hai …..


Microsoft Word ke bare me aap jante hi hai isme aasani se  ebook banane ke bahut se features hai. Ab hame ye janna hai ki ebook banae ke liye kya format hona chahiye jo ki kisi bhi device me aasani se support kare. Iske liye aapko kuch baato ko dhayan me rakhna hoga ,jo ki mai step by step niche batane jar aha hun…..


#1.  Add the Title Page… hame  title page se start karna hota hai  jisme ham book ka title , uska subtitle aur author name hota hai..


#2.  Sabse pehle hame  table of contents banana hota hai . uske liye references me ja kar apne table of contents ka layout select kar le.

#3. Iss step me hame apni  Ebook ke Chapters set up karna hota hai…

#4.  Agar aap chahte hai ki aaapki ebook ek  professional ki tarah dikhe to aapko Page Headers and Footers add karna hota hai, jisme aapka book title , page number aur chapter number show hota hai..


#5. Ab  hame  apne page ka layout template  design karna hota hai jo ki aap apne manpasand tarike se kar sakte hai , aisa isliye kyuki  aisa karne se hame baar bar pages ko design nahi karna padta aur wo  automatically next page par apply ho jata hai. Aur hame apna content likhne ke liye jada samay  milta hai. 


#6. Agar aap chahte hai ki aapki ebook format jada se jada devices me support kare to iske liye hame thoda research karna pad sakta hai, waise kuch  popular ebook  formats hai jo jadatar devices me support karte hai  jaise include plain text, Adobe PDF, ePub, and HTML.


#7. Word me aap apni file, doc, .pdf, and .html formats me save kar sakte hai uske baad aap apni jarurat ke hisab se use alag-alag program ki madad se convert  kar sakte hai..


#8. Ab last step jab aapki ebook tayar ho jati hai to hame ye test karna hota hai ki hamare dawara banai gayi ebook dekhne me kaisi hai aur downloadable hai ya nahi….


Ebook bechte {sell} kaise hai…?


Waise to ebook bechne ke bahut se trike hai , unme se kuch bahut hi famous hai  jaise ….


#1.  Amazon kindle affiliate marketing, amazon Amazon kindle ke naam se direct publish ke naam se ek feature chalati hai jisme ham apni koi bhi ebook likhkar use kindle bookstore par dal sakte hai  , ab jab bhi apki book sell hoti hai tab amozon apna kuch commission rakhkar apko apka paisa payment kar deti hai.


#2. Ebay me ham ebay turbo lister program ke dawara apni ebooks sell kar sakte hai jo amazon se milti julti hai.


#3. Agar apke paas apne khud ka Blog aur website hai to aap directly apne blog se ebook bech kar puri 100% income kar sakte hai , aur Paypal ki madad se iski payment le sakte hai.


#4. Applestore par ipad program se bhi aap apni ebooks ko sell kar sakte hai bas dhayaan rahe applestore par ebooks sell karne ke liye hame apni ebook me thode changes karne padte hai…


#5. google playstore android par bhi app par aap apni ebook sell kar sakte hai.. jo ki bahut hi asan hai..


No comments:

Post a Comment