Wednesday 22 July 2015

youtube par paise kaise kamaye video upload karke puri jankari (hindi me)

Youtube Kya Hai

youtube ek website jise google ne kharida hai aur ye google ki service hai jis par duniya bhar ke log
apne khud k video dalte hai or ise puri duniya k log dekhte  hai. Ab baat aati hai youtube se paisa kamane ki to mere hisaab se paisa kamane k liye youtube sabse badihya platform hai bas aapko video banane ki der hai YouTube par koi bhi video daal sakta hai koi teacher apni classes k video,housewife cooking tips,student aur bache apni poem aur khud k banaye gane upload kar sakta hai aur usse paise kama sakte hai or jo Video aap upload kare bo aapka hi banaya hona chaiye.


To Chaliye jaante hai ki youtube par video upload karke paise kaise kamate hai bas aap log meri di hui steps ko follow kare aur koi bhi problem aaye to comment kare.

1. Sabse pehle www.youtube.com par jakar signup kare or apna account bana lijiye, signup karne par aap youtube par login bhi ho jaoge.

 2.next step me apko apna ek youtube channel banana hai jis topic par aap video upload karne wale hai.

3. Next step me aapko upload video k option par ja kar ek video upload karna hai, aur ye dhayan rakhe aapka video jitna acha aur interesting hoga aap utne jada paise kamayenge . Bas aapko kisi bhi topic par kam se kam 5minute ka video lena hai .

4.ab aap fir se home par aajaye aur youtube k bagal k option bar par click kare.

5.Is step me aapko option milega jisme aap My channel select kar le .

6.ab aap apne account k channel section me jaiye.

7.Ab apke samne ek monetization ka option hai uske bagal me enable ki button par click kare ab ek window aur khulegi usme "Enable My Account" par click kare.

8.Ab aapke saamne youtube ki 'term and condition 'ka page hai , ise padne k baad aap "I Accept"ki button par click kare.

9.Ab aapka Monetization  Enable ho gaya hai uske baad apko apne ads ki category select karni hai ki aap kai tarah ka ads apne account par chahte hai.
                                        
10.Monetize ki button par click kar dijiye.

11. Ab aap firse apne account ke Video Manager k section me aa jayege. Uske baad apke videok saamne 3 option hai jisme se ek dollor $ ka sign ka hoga jo pehle nahi tha lekin aapke monetize karne k baad aaya hai  agar ye button nahi hai to samjhe abhi Monetization to Enable nahi hua.

12.Next step me aapko apna Adsense Account apne channel se connect karna hai. Iske liye wapas apne channel me jaye
Yaha par aap dekhege ki Monetization ke saamne ek Green Dot aa raha hai. ye sign hai Enable ka.ab is link par click kare.
13. Monetization ke saamne  “View monetization setting” likha hai us par click kare.

14."How will I be paid ?" K option par click kare.

15. Next step me aapko "Associate an AdSense account" ki link par click karna hai.

16.Ab aapse AdSense account se connect karne ke liyepucha jayega to next ki button par click kar de.

17.Ab google adsense ki site khulegi. Ab apke  Google account ke baare me puchega ki aapke pass google account hai ya nahi.

18.yes, create a new account ki button par click kare.

19. Yes, proceed to Google Account par apne gmail account se login kare.

20.Ab aap Adsense me login hogaye hai, ab Continue ki button par click kare.

21 Apni Language select kareke
Continue ki button par click kare.

22.Ab aapke saamne ek Adsence ka form usme apni pura byura, name aur address bilkul sahi sahi dale kyuki apke address par google seek verification letter aayega usme ek verification code hota hai jise aapko apne adsense account me daalna hoga tabhi aap apni payment le payege.

23.Verfication code dalne k baad apne form me apni sabhi jankari bharke. "Submit my application par click kare.

24.Ab aap youtube par paisa kamane lagege apke jitne video jitni baar dekhe jayege aapko utni hi income hogi to hai na maje ki baat.


Youtube par ye ek faydaa hai agar koi bhi aapke ads par click nahi bhi karta hai to bhi aap paisa kamate hai waise to youtube par CPM ka alag tarike aur mapdand hai leki aasan sabdo me samjhe ki agar apka video 1000 bar dekha jata hai to aap kam se kam 1$ income kar lete hai. Abhi aap soch
rahe honge jo paise mai kamaunga wo mere paas kaise aayenge.to ghabrane ki baat nahi hai apko apne paise apki $100 dollar ki kamai hone par aapki AdSense  Account ke through mil jayegi. Youtube par Adsense payment ki process alag alag countries m alag alag tarah se hoti hai. India me Check or EFT (Electronic Fund Transfer) ke jariye payment hoti hai. Check k option me apko apne check milenge jabki EFT ke option me apka paisa direct apke AdSense se connect bank account me transfer ho jayege.

Agar aap aisi hi jankari pate rahna chahte hai to hamara blog subscribe kare.                  

To dosto kaisi lagi meri jankari apke ma me jo bhi sawal hai comment me jarur bataye aur Kisi bhi help k liye mujse comment box me sampark kare mujhe aapki madad karke Khushi hogi



Kuch Aur Jankari.......

 Internet se online paise kaise kamaye Hindi me, how to make money online in hindi

 Instagram par paise kaise kamaye  {hindi me}

 android mobile smartphone par paise kaise kamaye. hindi me  

India Me Paypal Par Account Kaise Banaye Puri Jaankari Hindi Me

No comments:

Post a Comment