Wednesday 29 July 2015

India Me Paypal Par Account Kaise Banaye Puri Jaankari Hindi Me

Hello friends aaj ham janenge ki paypal par account kaise banate hai Paypal ek aisa online banking ki seva hai jiski help se hajaro aur karodon log rojana lakho
karodo rupeye online transfer karte hai chuki ye puri duniya me use ki jane wali website hai isliye ham videsho se bhi apne kamaye hue paise online maga sakte hai aur kuch kharid kar wo paise bhej bhi sakte hai. Aur agar ham online business karte hai to Paypal par hamara account hona bahut zaruri hai aisa isliye kyuki aapke customer k pass Paypal account hota hai aur wo usi se paise transfer karta hai Paypal par account banana bahut hi aasan hai iske liye hame mainly 3chizo ki jarurat hoti hai.

1.Bank Account
2.Dabit/Credit Card.                   
3.PAN Card

Ab aati hai Paypal account banane ki bari iske liye aapko mere dawara batayi gayi steps ko follow karna hai:-

Step 1. Sabse phele ham Paypal.com par jayenge.
                                      
Step 2.Site par jane ke baad SignUp ki Button par click kare.


Step 3.Agle Page par ek form khulega usko pura sahi sahi bhare aur ek baat ka dhayaan rakhe apka name address aur dusri jankari sabhi bank statement aur PAN card se milti honi chahiye.

Step 4. Ab Agree and Create Account ki Button par click kare.


Step 5.Fir captcha ka page khulega, Code ko bhare fir Continue par click kare.

Step 6. Itni steps k baad aapko apni Email ID ki verification karni hai, uske liye apni Email ID khole us par PayPal se ek Email aaya hoga us ko khole aur Confirm Email par click kare.


Step 7.Next page me apna Password daale aur LogIn par click kare.


Step 8.Next Page khulega usme   apne account ki security ke liye question select kare or unke answer likhe keval aise hi answer de jo aapko yaad rahe uske baad Submit ki button par click karo.


Step 9. Next page khulne par usme apne account ke notification aaya hoga us link par click karna hai.                 


Step 10. Ab apni Detail Update kare – PAN Card number, Bank Account Number or aapne ye account kis liye banaya hai.
Sari detail save karne ke baad aapka Paypal account ban jata hai ab aap isse online kamaye hue payse apne account me daal sakte hai.

Ummid hai aapka Paypal account  bankar teyaar ho gaya hoga.Agar aap aisi hi jankari pate rahna chahte hai to hamara blog subscribe kare.

                   To dosto kaisi lagi meri jankari aur haan apke jo bhi sawal hai comment me jarur bataye aur Kisi bhi help k liye mujse comment box me sampark kare mujhe aapki madad karke Khushi hogi


Kuch Aur Jankari.......

youtube par paise kaise kamaye video upload karke puri jankari (hindi me)

 Instagram par paise kaise kamaye  {hindi me}

 android mobile smartphone par paise kaise kamaye. hindi me  

Animated video banakar paise kaise kamaye (hindi me)

No comments:

Post a Comment