Saturday 30 January 2016

Animated video banakar paise kaise kamaye (hindi me)



Hello friends aaj main aapko animated video banana ke bare me batane ja raha hu aap to jante hi honge ki animated video ( jise ham kartoon bhi kahte hain) social media – whatsapp, facebook, youtube aur bahut si sites par kitne famous hai . ye hamara entertainment to karte hi hai saath me dekhne mai bhi kafi ache lagte hai..



Animated video banana se pahle hame ye janna bahut hi jaruri hai ki isse paise (money) kaise kamaye! ji haan , animated videos ka jadatar use bahut si companies aur websites apne product ka prachar (advertisement) ke liye karti hai , jo ki bahut hi aasani se banaya jata hai. iska fayda ye ha ki ise  samajhne me aasani rahti hai aur log borr bhi nahi hote. 

Agar aap entrepreneur banna chahte hai to aapke liye ye ek bahut hi acha start-up business hoga aur ye ek bahut hi acha business hai jaisa ki main janta hun . Ab baat aati hai isme kitna fayda hota hai ji haan…..  mere dawara jankari karne par pata chala ki ek choti company iske liye aapko kam se kam 500$ deti hai average company lagbhag 5000$-6000$ aur badi companies 10,000$ tak deti hai . aur haan ye apke dawara banaye gaye video ki technique aur iski duration par bhi nirbhar karta hai jadatar companies apni jarurat ke hisab se hi video banwati hai. aur iska dusra fayda ye bhi hai ki aap apne khud ke video banker apni sites par ya fir youtube par share karke aur bhi paise kama sakte hai..

Animated video kaise banaye 

Waise to net par bahut si sites hai jaha par aap animated video bana sakte hai …….   Aisi hi ek site hai MakeWebVideo jisme bahut se features hain .. aaiye jante hai ispar video kaise bante hai …  MakeWebVideo hame animated video banana ka free trail deta hai, uske baad agar aap iss service ko lena chahate hai to ye aapko 99$ ka payment karna hoga ..

MakeWebVideo hame bahut tarah ke templates deta hai jo ki pahte se animated hote hai , bas hame use apne hissab se usme text ,voice (sound , music) aur graphics edit karne hote hai, aur iska sabse bada fayda ye hai ki aap ispar bina kisi professional skill ke edit kar sakte hai… to chaliye ab video banana ki or chalte hai…
 Sabse pahle aap MakeWebVideo ki site par jaye aur is service ko  create free account join kare aur ek video bana dale Ab animated video banana ke liye meri steps ko follow karen- 



  • MakeWebVideo me ja kar apni jarurat ke mutabik ek  template select karen , yaha aapko bahut tarah ke template milenge jaise ( 1-story telling template , 2- demo product template, 3- game video template, 4-whiteboard template ) aur bahut saare ..


  • Ab aap edit template me ja kar graphics , text and voise me change kar sakte hai.


  • MakeWebVideo par video ko edit krne ki koi limit nahi hai


  • Video banne ke baad “create free preview video” par click kare aur dekh le ki aapke dawar banaya gaya video kaisa hai ya fir isme aur changes ki jarurat hai


  • Ye sab karne me aapko bahut hi kam samay lagega aapka video 1-2 hour me banker tayar ho jayega .


  • Agar aap apne dawara banaye gaye video se santust hai aur aap iss video ko lena chahate hai to aapko 88$ ka payment karna hoga.

Dhayan dene yogya baate –
  • Aapko ye taye karna hota hai ki aapke video ki quality kya hogi kya ye HQ me hoga .


  • Bahut jada tool ka use karna bhi galat hai agar aap expert nahi hai.


  • Agar aap naye hai to sound mixing ke samay jada dhayn dena hoga aapke sound aur music clear hona chahiye.


2 comments: