Monday 2 November 2015

Affiliate marketing kya hai ? , affiliate marketing se paise kaise kamaye ? hindi me




Hello dosto aaj main aapko affiliate marketing k bare me batane ja raha hun affiliate marketing hota kya hai aur isse paise kaise kamaye jata hai aur bahut kuch, to aaiye sabse pahle jante hai ki affiliate marketing hai kya…


Affiliate marketing hai kya .?

Affiliate marketing ek aisa advertising system hai jisme aap kisi website ( flipkart, snapdeal, amazon, ebay) jaise e-commerce site  ka advertisement ya fir kisi product ka promotion aap apne blog ya website k dawara karte hai aur iss tarah se aap directly income karte hai kyu jab aap google adsense ya fir kisi adsense ki company k ads apne site par lagate hai to income ka jadatar hissa yahi log rakh lete hai , lekin affiliate marketing me aisa nahi hai isme aapki commission se income directly hoti hai …



Affiliate marketing se kamai kaise hoti hai.?


Haa to dosto aapne ye to jaan liya ki affiliate marketing hota kya hai ab baat aati hai isse kamai kaise kare. Dosto saabse pehle hame ye jankari leni hoti hai ki kaun si website hame unke product sell karwane par kitna commission deti hai ,kyuki sabki commission alag hoti hai aur iske liye aapko product ki bhi jankaari leni hoti hai ki kaun sa product apke website ya blog par suit karta hai , fir aap uss site par ja kar waha se product dekh le ki kaun se product affiliate marketing ki liye available hai , to chaliye main aapko steps me batata hun ki kaise kya karne hai.



  • Sabse pehle aap uss site par jaye jaha se aapko affiliate marketing karni hai


  • Fir waha par affiliate marketing k liye account bannye ( bahut si sites par iske methods alag alag hote hai)


  • Uske baad aap apna product select kar le


  • Aur fir uss product ka image aur text template banner le


  • Ab aap ise apne blog ya website me jaha lagana chate hai waha par past kar de


  • Ab jab koi visitor apke ads dekhega ya fir uss par click kar k use kharidta hai to aapki fix commission k anusar aapki direct income ho jati hai.


Haa to dosto kaisi lagi jankari jarur bataye, Agar apka koi sawal ho to comment box me jarur bataye

1 comment: